nind unki uchaT ho gai hai
niiñd un kī uchāT ho ga.ī hai
āñkhoñ meñ sharāb ubal paḌī hai
bechain hai dil uchāT hai dil
bastī bas kar ujaḌ ga.ī hai
kaliyoñ kī sadā bhī sunte jaao
afsāna qarīb ḳhatm hī hai
ik ghun sā lagā huā hai jī ko
jaise koī chiiz kho ga.ī hai
ġham itne uThā.ūñgā ki duniyā
ḳhud ko kahne lage ye aadmī hai
gum hosh nazar udaas dil sard
'mahshar' kī ajiib zindagī hai
nind un ki uchaT ho gai hai
aankhon mein sharab ubal paDi hai
bechain hai dil uchaT hai dil
basti bas kar ujaD gai hai
kaliyon ki sada bhi sunte jao
afsana qarib KHatm hi hai
ek ghun sa laga hua hai ji ko
jaise koi chiz kho gai hai
gham itne uThaunga ki duniya
KHud ko kahne lage ye aadmi hai
gum hosh nazar udas dil sard
'mahshar' ki ajib zindagi hai
- Book : Sahbaa-o-Saman (Pg. 51)
- Author : ahshar Inayati
- Publication : Ismail Graphic, Chaman Ganj, Kanpur (1st 1979 IInd 2008)
- Edition : 1st 1979 IInd 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.