ni۔nden KHarab karke jo hum baat kar rahe
nī۔ndeñ ḳharāb karke jo ham baat kar rahe
kyoñ phir nahīñ vo ham se mulāqāt kar rahe
nazreñ nazar se milne pe sudh-budh na kuchh rahī
āñkhoñ se apne aise karāmāt kar rahe
ashkoñ ke sañg aañkh se bahnā paḌā use
patthar pe aur ham nahīñ barsāt kar rahe
kuchh bhī nahīñ bachā hai ki jis kā ġhurūr ho
ye zindagī bhī us ko lo ḳhairāt kar rahe
apne tasavvurāt se chehra banāyā ik
chehra banā ke us se ḳhurāfāt kar rahe
kaise kareñge ibtidā ik kashmakash sī thī
jhumkoñ kī baat kar ke shurūāt kar rahe
ni۔nden KHarab karke jo hum baat kar rahe
kyon phir nahin wo hum se mulaqat kar rahe
nazren nazar se milne pe sudh-budh na kuchh rahi
aankhon se apne aise karamat kar rahe
ashkon ke sang aankh se bahna paDa use
patthar pe aur hum nahin barsat kar rahe
kuchh bhi nahin bacha hai ki jis ka ghurur ho
ye zindagi bhi us ko lo KHairaat kar rahe
apne tasawwuraat se chehra banaya ek
chehra bana ke us se KHurafat kar rahe
kaise karenge ibtida ek kashmakash si thi
jhumkon ki baat kar ke shuruat kar rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.