nisti ke wahm ne muddat se kar rakkha hai tang
nīstī ke vahm ne muddat se kar rakkhā hai tang
raas aatā hī nahīñ hastī kā rang
ek 'arse se huā huuñ be-niyāz-e-nām-o-nang
ab mire dil meñ nahīñ koī umang
hai shafaq kā 'aks tere jism kā āhang raqs
rang kā markaz hai terā ang ang
husn-e-tahzīb-o-tamaddun phuul phal saktā nahīñ
is jahāñ meñ jab talak baaqī hai jang
dard se kyoñ bhar na aa.e karb-e-duniyā dekh kar
'krishn-mohan' dil nahīñ hai ḳhisht-o-sang
nisti ke wahm ne muddat se kar rakkha hai tang
ras aata hi nahin hasti ka rang
ek 'arse se hua hun be-niyaz-e-nam-o-nang
ab mere dil mein nahin koi umang
hai shafaq ka 'aks tere jism ka aahang raqs
rang ka markaz hai tera ang ang
husn-e-tahzib-o-tamaddun phul phal sakta nahin
is jahan mein jab talak baqi hai jang
dard se kyon bhar na aae karb-e-duniya dekh kar
'krishn-mohan' dil nahin hai KHisht-o-sang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.