nikal aaya wo ghabra kar dil us ka is qadar dhaDka
nikal aayā vo ghabrā kar dil us kā is qadar dhaḌkā
sadā bijlī kī dī naale ne jab muñh se mire kaḌkā
Thahar kuchh din meñ dast-andāziyoñ kā vaqt aa.egā
nihāl-e-nau-damīda huuñ bharosa kyā mirī jaḌ kā
hamesha ḳhāk-o-ḳhūñ meñ mujh ko betābī biThāyā kī
ba-shakl-e-murġh-e-bismil kaun se pahlū nahīñ phaḌkā
ḳhayāl-e-āriz-e-raushan meñ sub.h-o-shām yaksāñ hai
yahāñ āThoñ-pahar pesh-e-nazar hai nuur kā taḌkā
ye sach hai vaqt par be-raunaqī bhī kaam aatī hai
nihāl-e-ḳhushk ko khaTkā nahīñ hotā hai patjhaḌ kā
na kyuuñ pinhāñ rakhūñ dāman meñ us ko kam-nigāhoñ se
samajhtā huuñ maiñ apnā ashk-e-gulgūñ la.al gūdaḌ kā
guzartā hai salāmat vāqif-e-anjām matlab se
nahīñ rasta khaTaktā aañkh meñ dahqāñ kī bīhaḌ kā
liye haiñ gul ke bose aaj kis chorī se bulbul ne
paḌā soyā kiyā gulchīñ koī pattā nahīñ khaḌkā
chhupāyā parda-e-fānūs ban kar jism-e-uryāñ ne
darūn-e-ustuḳhvāñ se jis ghaḌī sho.ala koī bhaḌkā
ba-juz iimā kalām-e-ishq matlab se muarra hai
kisī par raaz khul saktā nahīñ majzūb kī baḌ kā
fasāhat ke ḳhilāf aa.e nazar sab qāfiye ham ko
'nasīm' aisī zamīñ par kījiye itlāq bīhaḌ kā
nikal aaya wo ghabra kar dil us ka is qadar dhaDka
sada bijli ki di nale ne jab munh se mere kaDka
Thahar kuchh din mein dast-andaziyon ka waqt aaega
nihaal-e-nau-damida hun bharosa kya meri jaD ka
hamesha KHak-o-KHun mein mujh ko betabi biThaya ki
ba-shakl-e-murgh-e-bismil kaun se pahlu nahin phaDka
KHayal-e-ariz-e-raushan mein subh-o-sham yaksan hai
yahan aaThon-pahar pesh-e-nazar hai nur ka taDka
ye sach hai waqt par be-raunaqi bhi kaam aati hai
nihaal-e-KHushk ko khaTka nahin hota hai patjhaD ka
na kyun pinhan rakhun daman mein us ko kam-nigahon se
samajhta hun main apna ashk-e-gulgun lal gudaD ka
guzarta hai salamat waqif-e-anjam matlab se
nahin rasta khaTakta aankh mein dahqan ki bihaD ka
liye hain gul ke bose aaj kis chori se bulbul ne
paDa soya kiya gulchin koi patta nahin khaDka
chhupaya parda-e-fanus ban kar jism-e-uryan ne
darun-e-ustuKHwan se jis ghaDi shoala koi bhaDka
ba-juz ima kalam-e-ishq matlab se muarra hai
kisi par raaz khul sakta nahin majzub ki baD ka
fasahat ke KHilaf aae nazar sab qafiye hum ko
'nasim' aisi zamin par kijiye itlaq bihaD ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.