nikal hi aati thi surat kabhi palaTne ki
nikal hī aatī thī sūrat kabhī palaTne kī
par us ne kī nahīñ niyyat kabhī palaTne kī
tamām umr usī kā intizār karte rahe
ki jis meñ thī nahīñ aadat kabhī palaTne kī
ab ek sang kī sūrat paḌe haiñ dar pe tire
chukā rahe haiñ yuuñ qīmat kabhī palaTne kī
vagarna vo to na thā is qadar bhī saḳht mizāj
hamīñ ne kī nahīñ himmat kabhī palaTne kī
nikal hi aati thi surat kabhi palaTne ki
par us ne ki nahin niyyat kabhi palaTne ki
tamam umr usi ka intizar karte rahe
ki jis mein thi nahin aadat kabhi palaTne ki
ab ek sang ki surat paDe hain dar pe tere
chuka rahe hain yun qimat kabhi palaTne ki
wagarna wo to na tha is qadar bhi saKHt mizaj
hamin ne ki nahin himmat kabhi palaTne ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.