nikal kar mere andar se koi bhi dar nahin aaya
nikal kar mere andar se koi bhi dar nahin aaya
Syed Masroor Jauhar
MORE BYSyed Masroor Jauhar
nikal kar mere andar se koī bhī dar nahīñ aaya
hazāroñ kos chalne par bhī merā ghar nahīñ aaya
mirī āñkheñ rahīñ jab tak tirī āñkhoñ se vābasta
ubhar kar merī nazroñ meñ koī manzar nahīñ aaya
tire sachche nishāne par ye goyā zarb-e-kārī hai
mire sar tak tirā pheñkā huā patthar nahīñ aaya
mire ham-zād par is ghar ne jaane kyā kiyā jaadū
vo mere saath andar to gayā bāhar nahīñ aaya
dayār-e-shauq meñ 'jauhar' siyah saa.e miTāne ko
ujāle jis kī the poshāk vo paikar nahīñ aaya
nikal kar mere andar se koi bhi dar nahin aaya
hazaron kos chalne par bhi mera ghar nahin aaya
meri aankhen rahin jab tak teri aankhon se wabasta
ubhar kar meri nazron mein koi manzar nahin aaya
tere sachche nishane par ye goya zarb-e-kari hai
mere sar tak tera phenka hua patthar nahin aaya
mere ham-zad par is ghar ne jaane kya kiya jadu
wo mere sath andar to gaya bahar nahin aaya
dayar-e-shauq mein 'jauhar' siyah sae miTane ko
ujale jis ki the poshak wo paikar nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.