nikal kar saya-e-abr-e-rawan se
nikal kar sāya-e-abr-e-ravāñ se
rahe ham muddatoñ be-sā.ebāñ se
zamīñ par chāñd aanā chāhtā hai
utar kar kashti-e-āb-e-ravāñ se
nigāheñ DhūñDtī haiñ raftagāñ ko
sitāre TūTte haiñ āsmāñ se
manāte ḳhair kyā ham jism o jaañ kī
use chāhā thā ham ne jism o jaañ se
'rasā' kis ahd-e-nā-pursāñ meñ ham ne
liyā hai kaam harf-e-rā.egāñ se
nikal kar saya-e-abr-e-rawan se
rahe hum muddaton be-saeban se
zamin par chand aana chahta hai
utar kar kashti-e-ab-e-rawan se
nigahen DhunDti hain raftagan ko
sitare TuTte hain aasman se
manate KHair kya hum jism o jaan ki
use chaha tha hum ne jism o jaan se
'rasa' kis ahd-e-na-pursan mein hum ne
liya hai kaam harf-e-raegan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.