nikal kar tere kuche se faraaz-e-dar tak pahunche
nikal kar tere kūche se farāz-e-dār tak pahuñche
tire 'āshiq vafā ke āḳhirī me'yār tak pahuñche
na jaane kitne tūfān-e-havādis se guzar kar ham
tumhāre dil kī dhaḌkan tak tumhāre pyaar tak pahuñche
laboñ tak aa ke so jaate the dil ke sarmadī naġhme
baḌī mushkil se ham bhī jur.at-e-iz.hār tak pahuñche
jo dil tak hī rahā raqs-e-sharār-e-ġham to kyā hāsil
maza tab hai agar mere lab-e-iz.hār tak pahuñche
guloñ kī justujū karne ko to maiñ ne bhī kī lekin
mire dast-e-talab josh-e-junūñ meñ ḳhaar tak pahuñche
zarā sī jur.at-e-be-bāk se māhaul badlegā
sukūt-e-shab tirī pāzeb kī jhankār tak pahuñche
javāb-e-gardish-e-sāġhar kahāñ se lā.egī 'shāhid'
samajh kar gardish-e-daurāñ kisī mai-ḳhvār tak pahuñche
nikal kar tere kuche se faraaz-e-dar tak pahunche
tere 'ashiq wafa ke aaKHiri me'yar tak pahunche
na jaane kitne tufan-e-hawadis se guzar kar hum
tumhaare dil ki dhaDkan tak tumhaare pyar tak pahunche
labon tak aa ke so jate the dil ke sarmadi naghme
baDi mushkil se hum bhi jurat-e-izhaar tak pahunche
jo dil tak hi raha raqs-e-sharar-e-gham to kya hasil
maza tab hai agar mere lab-e-izhaar tak pahunche
gulon ki justuju karne ko to main ne bhi ki lekin
mere dast-e-talab josh-e-junun mein KHar tak pahunche
zara si jurat-e-be-bak se mahaul badlega
sukut-e-shab teri pazeb ki jhankar tak pahunche
jawab-e-gardish-e-saghar kahan se laegi 'shahid'
samajh kar gardish-e-dauran kisi mai-KHwar tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.