nikal kar zabt ki had se fughan tak baat ja pahunchi
nikal kar zabt ki had se fughan tak baat ja pahunchi
Soz Sikandarpuri
MORE BYSoz Sikandarpuri
nikal kar zabt kī had se fuġhāñ tak baat jā pahuñchī
ḳhabar bhī hai dil-e-nādāñ kahāñ tak baat jā pahuñchī
maiñ iz.hār-e-mohabbat kar ke un se ḳhush nahīñ lekin
chalo achchhā huā gosh-e-girāñ tak baat jā pahuñchī
na ho sāmān-e-sairābī magar ye faḳhr kyā kam hai
hamārī pyaas kī pīr-e-muġhāñ tak baat jā pahuñchī
dil-e-bad-zan kī ye mujh par karam-farmā.iyāñ tauba
jahāñ tak maiñ nahīñ pahuñchā vahāñ tak baat jā pahuñchī
nikal aa.e sitāre merī uljhan ke tamāshe ko
zamīñ vāloñ kī kyūñkar āsmāñ tak baat jā pahuñchī
zamāne bhar meñ charchā hai hamāre ḳhūn-e-nāhaq kā
vahāñ tak hashr barpā hai jahāñ tak baat jā pahuñchī
unheñ ai 'soz' rusvā.ī kā apnī kab ḳhayāl aaya
nikal ke gūñge dil se jab zabāñ tak baat jā pahuñchī
nikal kar zabt ki had se fughan tak baat ja pahunchi
KHabar bhi hai dil-e-nadan kahan tak baat ja pahunchi
main izhaar-e-mohabbat kar ke un se KHush nahin lekin
chalo achchha hua gosh-e-giran tak baat ja pahunchi
na ho saman-e-sairabi magar ye faKHr kya kam hai
hamari pyas ki pir-e-mughan tak baat ja pahunchi
dil-e-bad-zan ki ye mujh par karam-farmaiyan tauba
jahan tak main nahin pahuncha wahan tak baat ja pahunchi
nikal aae sitare meri uljhan ke tamashe ko
zamin walon ki kyunkar aasman tak baat ja pahunchi
zamane bhar mein charcha hai hamare KHun-e-nahaq ka
wahan tak hashr barpa hai jahan tak baat ja pahunchi
unhen ai 'soz' ruswai ka apni kab KHayal aaya
nikal ke gunge dil se jab zaban tak baat ja pahunchi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.