nikal ke ghar se phir is tarah ghar gae hum tum
nikal ke ghar se phir is tarah ghar ga.e ham tum
ḳhud apnī raakh uḌāte bikhar ga.e ham tum
zamāna apnī adā-kāriyoñ pe nāzāñ thā
aur apne-āp pe ilzām dhar ga.e ham tum
use kaho ġham-e-tārāji-e-chaman ho use
had bahār o ḳhizāñ se guzar ga.e ham tum
kabhī jahāñ ke muqābil rahe tan-e-tanhā
kabhī ḳhud apnī hī aahaT se Dar ga.e ham tum
nikal ke ghar se phir is tarah ghar gae hum tum
KHud apni rakh uDate bikhar gae hum tum
zamana apni ada-kariyon pe nazan tha
aur apne-ap pe ilzam dhar gae hum tum
use kaho gham-e-taraji-e-chaman ho use
had bahaar o KHizan se guzar gae hum tum
kabhi jahan ke muqabil rahe tan-e-tanha
kabhi KHud apni hi aahaT se Dar gae hum tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.