nikal ke zehn se mere zaban pe aaya kab
nikal ke zehn se mere zabāñ pe aayā kab
vo dil kā naġhma sahī maiñ ne gungunāyā kab
ga.ī jo dhuup to ab chāñdnī kī baarī hai
ki saath chhoḌegā merā ye kaalā saaya kab
na jaane ho gayā duniyā meñ tere jaisā kyuuñ
sabaq hayāt kā tū ne mujhe paḌhāyā kab
tamām-shahr to ḳhushbū se us kī vāqif hai
koī to mujh ko batātā yahāñ vo aayā kab
maiñ tum se pahle milā thā to us meñ dhaḌkan thī
batāo siine meñ patthar kā dil lagāyā kab
maiñ is ke dhyān meñ is darja gum huā ik din
pata chalā hī nahīñ kab gayā vo aayā kab
safar ye dhuup kā ab ḳhatm hone vaalā hai
chalegā saath mire koī saaya saaya kab
nikal ke zehn se mere zaban pe aaya kab
wo dil ka naghma sahi main ne gungunaya kab
gai jo dhup to ab chandni ki bari hai
ki sath chhoDega mera ye kala saya kab
na jaane ho gaya duniya mein tere jaisa kyun
sabaq hayat ka tu ne mujhe paDhaya kab
tamam-shahr to KHushbu se us ki waqif hai
koi to mujh ko batata yahan wo aaya kab
main tum se pahle mila tha to us mein dhaDkan thi
batao sine mein patthar ka dil lagaya kab
main is ke dhyan mein is darja gum hua ek din
pata chala hi nahin kab gaya wo aaya kab
safar ye dhup ka ab KHatm hone wala hai
chalega sath mere koi saya saya kab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.