nikal mat ghar se tu ai KHana-abaad
nikal mat ghar se tū ai ḳhāna-ābād
kiyā ab ham ne bhī vīrāna ābād
qubūl hogā kahīñ to sajda apnā
raheñ ye ka.aba o but-ḳhāna ābād
hamārā hī rahe ik jaam ḳhālī
muġhāñ rahiyo tirā mai-ḳhāna ābād
rahe us zulf se ye dil pareshāñ
tirā ghar hove yuuñ ai shāna ābād
'razā' luuTā hai kis saffāk ne aa
kabhī dil ko tire dekhā na ābād
nikal mat ghar se tu ai KHana-abaad
kiya ab hum ne bhi virana aabaad
qubul hoga kahin to sajda apna
rahen ye kaba o but-KHana aabaad
hamara hi rahe ek jam KHali
mughan rahiyo tera mai-KHana aabaad
rahe us zulf se ye dil pareshan
tera ghar howe yun ai shana aabaad
'raza' luTa hai kis saffak ne aa
kabhi dil ko tere dekha na aabaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.