nikal paDa hai wo suraj nai tapan le kar
nikal paḌā hai vo sūraj na.ī tapan le kar
chalā hai le ke vo barchhī ki phir kiran le kar
jo mere hissa kā bādal hai kyoñ nahīñ barsā
kahāñ maiñ jā.ūñ bhalā tan kī ye agan le kar
har ek shaḳhs gayā chhoḌ kar mujhe aage
kahīñ maiñ mar hī na jā.ūñ yahī jalan le kar
faqīr ham haiñ ki jholā uThā ke chal deñge
kahāñ kahāñ liye phirte raheñge dhan le kar
zamīñ pe chāñd sitāre utaar lā.eñge
chale haiñ dil meñ ham apne yahī lagan le kar
birah kī maarī maiñ birhan kahāñ se sukh bhogūñ
churā ke merī ḳhushī sab gayā sajan le kar
gulāb hoñToñ meñ zulfoñ meñ yaas meñ un ke
vo ghar se nikle haiñ ḳhushbū-bharā badan le kar
dayār-e-yār meñ ham chhoḌ aa.e dil 'sābir'
ki lauT aa.e haiñ apnā niDhāl tan le kar
nikal paDa hai wo suraj nai tapan le kar
chala hai le ke wo barchhi ki phir kiran le kar
jo mere hissa ka baadal hai kyon nahin barsa
kahan main jaun bhala tan ki ye agan le kar
har ek shaKHs gaya chhoD kar mujhe aage
kahin main mar hi na jaun yahi jalan le kar
faqir hum hain ki jhola uTha ke chal denge
kahan kahan liye phirte rahenge dhan le kar
zamin pe chand sitare utar laenge
chale hain dil mein hum apne yahi lagan le kar
birah ki mari main birhan kahan se sukh bhogun
chura ke meri KHushi sab gaya sajan le kar
gulab honTon mein zulfon mein yas mein un ke
wo ghar se nikle hain KHushbu-bhara badan le kar
dayar-e-yar mein hum chhoD aae dil 'sabir'
ki lauT aae hain apna niDhaal tan le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.