nikal paDe hain jo teri KHatir unhin pe tera itab kyon hai
nikal paDe hain jo teri KHatir unhin pe tera itab kyon hai
Ghulam Mustafa Faraz
MORE BYGhulam Mustafa Faraz
nikal paḌe haiñ jo terī ḳhātir unhīñ pe terā 'itāb kyoñ hai
saroñ pe sūraj diloñ meñ uljhan nazar sarāsar sarāb kyoñ hai
tamām samteñ tamām raste tamām naqsh-o-nigār tere
zamīñ bhī terī falak bhī terā to phir masāfat 'azāb kyoñ hai
koī sikandar koī qalandar kabhī na pal bhar ko rok paayā
samand-e-'umr-e-ravāñ hamesha se be-zamām-o-rikāb kyoñ hai
zamāne bhar ke dukhoñ ko bāñTūñ ki apnī bechārgī ko ro.uuñ
mire hī dāman meñ sab kā sahrā mujhī se barham sahāb kyoñ hai
siyāh bādal ḳhunuk havā.eñ ghanā añdherā tavīl rasta
abhī to 'azm-e-safar kiyā hai abhī se mausam ḳharāb kyoñ hai
nikal paDe hain jo teri KHatir unhin pe tera 'itab kyon hai
saron pe suraj dilon mein uljhan nazar sarasar sarab kyon hai
tamam samten tamam raste tamam naqsh-o-nigar tere
zamin bhi teri falak bhi tera to phir masafat 'azab kyon hai
koi sikandar koi qalandar kabhi na pal bhar ko rok paya
samand-e-'umr-e-rawan hamesha se be-zamam-o-rikab kyon hai
zamane bhar ke dukhon ko banTun ki apni bechaargi ko roun
mere hi daman mein sab ka sahra mujhi se barham sahab kyon hai
siyah baadal KHunuk hawaen ghana andhera tawil rasta
abhi to 'azm-e-safar kiya hai abhi se mausam KHarab kyon hai
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.