nikalna hua dil se dushwar kyun
nikalnā huā dil se dushvār kyuuñ
ye ik aah hai is kā paikāñ nahīñ
ye haath us ke dāman talak pahuñche kab
rasā.ī jise tā-garebāñ nahīñ
falak ne bhī sīkhe haiñ tere se taur
ki apne kiye se pashemāñ nahīñ
mirā nāma-e-shauq talvoñ tale
na maliye ye ḳhūn-e-shahīdāñ nahīñ
usī kī sī kahne lage ahl-e-hashr
kahīñ pursish-e-dād-ḳhvāhāñ nahīñ
nikalna hua dil se dushwar kyun
ye ek aah hai is ka paikan nahin
ye hath us ke daman talak pahunche kab
rasai jise ta-gareban nahin
falak ne bhi sikhe hain tere se taur
ki apne kiye se pasheman nahin
mera nama-e-shauq talwon tale
na maliye ye KHun-e-shahidan nahin
usi ki si kahne lage ahl-e-hashr
kahin pursish-e-dad-KHwahan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.