nikalne ko hai dam mera magar hai aarzu baqi
nikalne ko hai dam merā magar hai aarzū baaqī
mileñge ḳhaak meñ lekin rahegī justujū baaqī
maiñ apnā raaz kahne ko bulāyā thā tujhe hamdam
magar afsos maiñ hī rah sakā aur hai na tū baaqī
ye duniyā miTne vaalī hai to phir is par bharosa kyā
fanā ho jā.eñge saare rahegā tū hī tū baaqī
kirāman-kātibīñ jā kar ye izrā.īl se kahnā
Thahar jaao abhī kuchh yaar se hai guftugū baaqī
vuzū zāhid kā āb-e-jū se aur merā hai aañsū se
vuzū bah jā.egā us kā rahe merā vuzū baaqī
tahārat jism kī go ho ga.ī hai ġhusl-e-zāhir se
safā.ī ke liye dil kī abhī hai shust-o-shū baaqī
jalā kar ātish-e-furqat ne dil kī ḳhaak uḌaa.ī hai
nahīñ siine meñ kuchh baaqī magar hai ek hū baaqī
hilālī kar diyā tū ne 'qamar' ko ek chullū meñ
rahe mahshar talak saaqī tirā jām-o-subū baaqī
nikalne ko hai dam mera magar hai aarzu baqi
milenge KHak mein lekin rahegi justuju baqi
main apna raaz kahne ko bulaya tha tujhe hamdam
magar afsos main hi rah saka aur hai na tu baqi
ye duniya miTne wali hai to phir is par bharosa kya
fana ho jaenge sare rahega tu hi tu baqi
kiraman-katibin ja kar ye izrail se kahna
Thahar jao abhi kuchh yar se hai guftugu baqi
wuzu zahid ka aab-e-ju se aur mera hai aansu se
wuzu bah jaega us ka rahe mera wuzu baqi
tahaarat jism ki go ho gai hai ghusl-e-zahir se
safai ke liye dil ki abhi hai shust-o-shu baqi
jala kar aatish-e-furqat ne dil ki KHak uDai hai
nahin sine mein kuchh baqi magar hai ek hu baqi
hilali kar diya tu ne 'qamar' ko ek chullu mein
rahe mahshar talak saqi tera jam-o-subu baqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.