nikhaarti rahi yalghaar-e-sang kya karte
nikhārtī rahī yalġhār-e-sang kyā karte
ham apnā halqa-e-ahbāb tang kyā karte
use thā shauq bahut āsmān chhūne kā
ye kaT ga.ī thī hamārī patang kyā karte
ye daur de gayā tamġhāt chāplūsoñ ko
ham aise dasht-e-anā ke malang kyā karte
mizāj paayā thā ghul-mil ke sab meñ rahne kā
judā thā sab se magar apnā rang kyā karte
ik umr ba.ad huā vaqt mehrbāñ to 'nadīm'
na aarzū thī na dil meñ umang kyā karte
nikhaarti rahi yalghaar-e-sang kya karte
hum apna halqa-e-ahbab tang kya karte
use tha shauq bahut aasman chhune ka
ye kaT gai thi hamari patang kya karte
ye daur de gaya tamghat chapluson ko
hum aise dasht-e-ana ke malang kya karte
mizaj paya tha ghul-mil ke sab mein rahne ka
juda tha sab se magar apna rang kya karte
ek umr baad hua waqt mehrban to 'nadim'
na aarzu thi na dil mein umang kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.