Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nikhat-o-nur ka sailab tha chaaron jaanib

Aslam Mirza

nikhat-o-nur ka sailab tha chaaron jaanib

Aslam Mirza

MORE BYAslam Mirza

    nikhat-o-nūr sailāb thā chāroñ jānib

    maiñ akelā thā mirā ḳhvāb thā chāroñ jānib

    vasl nashsha rag-o-pai meñ samundar jaisā

    ik badan sūrat-e-mahtāb thā chāroñ jānib

    ham-rahī ne tirī khole the rumūz-e-hastī

    aañkh bhar manzar-e-shādāb thā chāroñ jānib

    thā samā.at pe vahī fiqroñ bojhal shab-ḳhūñ

    maiñ bhī thā halqa-e-ahbāb thā chāroñ jānib

    maiñ kahāñ kāsa-e-ulfat liye phirtā 'aslam'

    zar-e-iḳhlās kamyāb thā chāroñ jānib

    nikhat-o-nur ka sailab tha chaaron jaanib

    main akela tha mera KHwab tha chaaron jaanib

    wasl ka nashsha rag-o-pai mein samundar jaisa

    ek badan surat-e-mahtab tha chaaron jaanib

    ham-rahi ne teri khole the rumuz-e-hasti

    aankh bhar manzar-e-shadab tha chaaron jaanib

    tha samaat pe wahi fiqron ka bojhal shab-KHun

    main bhi tha halqa-e-ahbab tha chaaron jaanib

    main kahan kasa-e-ulfat liye phirta 'aslam'

    zar-e-iKHlas hi kamyab tha chaaron jaanib

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now