nikhaton mein naghmagi hai rang mein jhankar hai
nik.hatoñ meñ naġhmagī hai rañg meñ jhankār hai
ai mire ehsās tū kitnā baḌā fankār hai
aap aa jaatā huuñ maiñ apne muqābil aur phir
sochtā huuñ sāmne ye kaun sī dīvār hai
sāmne aa.e to siine se lagā luuñ maiñ use
mere andar mujh se hī jo barsar-e-paikār hai
jaane kaisā hādisa guzrā hai is bastī pe aaj
suunī suunī har galī sunsān har bāzār hai
ho jo apnā mudda.ā 'akram' to lab-basta rahe
vo to dīvāna ba-kār-e-dīgarāñ hushyār hai
nikhaton mein naghmagi hai rang mein jhankar hai
ai mere ehsas tu kitna baDa fankar hai
aap aa jata hun main apne muqabil aur phir
sochta hun samne ye kaun si diwar hai
samne aae to sine se laga lun main use
mere andar mujh se hi jo barsar-e-paikar hai
jaane kaisa hadisa guzra hai is basti pe aaj
suni suni har gali sunsan har bazar hai
ho jo apna muddaa 'akram' to lab-basta rahe
wo to diwana ba-kar-e-digaran hushyar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.