nikhre hue aariz hain bikhre hue gesu bhi
nikhre hue aariz hain bikhre hue gesu bhi
Basheer Ahmed Shaheed
MORE BYBasheer Ahmed Shaheed
nikhre hue aariz haiñ bikhre hue gesū bhī
ai ahl-e-nazar dekho jalva bhī hai jaadū bhī
mausam kī tarah un ke tevar bhī badalte haiñ
phir jaatī haiñ nazreñ bhī tan jaate haiñ abrū bhī
iz.hār-e-tamannā par hañs hañs ke nahīñ kahnā
inkār meñ shāmil hai iqrār kā pahlū bhī
ai 'ishq batā tū hī ye kaun sā 'ālam hai
hoñToñ pe tabassum hai āñkhoñ meñ haiñ aañsū bhī
gulshan meñ bhī dīvāno sahrā ke maze luuTo
gardish meñ hai bazm-e-gul āvāra hai ḳhushbū bhī
sach hai ki mirā dāman ālūda hai ai vā'iz
ye jhuuT nahīñ lekin be-dāġh nahīñ tū bhī
arbāb-e-siyāsat se kahnā hai 'shahīd' itnā
arbāb-e-mohabbat kā shahkār hai urdu bhī
nikhre hue aariz hain bikhre hue gesu bhi
ai ahl-e-nazar dekho jalwa bhi hai jadu bhi
mausam ki tarah un ke tewar bhi badalte hain
phir jati hain nazren bhi tan jate hain abru bhi
izhaar-e-tamanna par hans hans ke nahin kahna
inkar mein shamil hai iqrar ka pahlu bhi
ai 'ishq bata tu hi ye kaun sa 'alam hai
honTon pe tabassum hai aankhon mein hain aansu bhi
gulshan mein bhi diwano sahra ke maze luTo
gardish mein hai bazm-e-gul aawara hai KHushbu bhi
sach hai ki mera daman aaluda hai ai wa'iz
ye jhuT nahin lekin be-dagh nahin tu bhi
arbab-e-siyasat se kahna hai 'shahid' itna
arbab-e-mohabbat ka shahkar hai urdu bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.