nikla hai zulm toD ke sare hisar bhag
niklā hai zulm toḌ ke saare hisār bhaag
suntā hai kaun ab na kisī ko pukār bhaag
maiñ gardishoñ se bhāgtā phirtā huuñ raat din
tū bhī zamīn chhoḌ ke apnā madār bhaag
go qāfila chalā gayā tū ġham-zada na ho
vo dekh uTh rahā hai abhī bhī ġhubār bhaag
lipTī hai tere jism se kyoñ dopahar kī shaal
kyoñ ho rahā hai din kī havas kā shikār bhaag
bhūlā dayār-e-ġhair meñ aayā hai to tujhe
uljhā na de ye gardish-e-lail-o-nahār bhaag
ik tū bachā hai shahr to saarā ujaḌ gayā
ab kar rahā hai kis kā bhalā intizār bhaag
ik pal meñ hī sameT le sadiyoñ kā fāsla
paañv se 'qais' vaqt kī beḌī utaar bhaag
nikla hai zulm toD ke sare hisar bhag
sunta hai kaun ab na kisi ko pukar bhag
main gardishon se bhagta phirta hun raat din
tu bhi zamin chhoD ke apna madar bhag
go qafila chala gaya tu gham-zada na ho
wo dekh uTh raha hai abhi bhi ghubar bhag
lipTi hai tere jism se kyon dopahar ki shaal
kyon ho raha hai din ki hawas ka shikar bhag
bhula dayar-e-ghair mein aaya hai to tujhe
uljha na de ye gardish-e-lail-o-nahaar bhag
ek tu bacha hai shahr to sara ujaD gaya
ab kar raha hai kis ka bhala intizar bhag
ek pal mein hi sameT le sadiyon ka fasla
panw se 'qais' waqt ki beDi utar bhag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.