nikle hain diwar se chehre
nikle haiñ dīvār se chehre
bujhe-bujhe bīmār se chehre
apne milne vāloñ ke haiñ
kyoñ itne lāchār se chehre
mere ghar ke har kone meñ
aa baiThe bāzār se chehre
arsa huā hai nahīñ dekhe haiñ
ham ne surḳh anaar se chehre
vaadī ke sandūq se nikle
chamkīle dīnār se chehre
nikle hain diwar se chehre
bujhe-bujhe bimar se chehre
apne milne walon ke hain
kyon itne lachaar se chehre
mere ghar ke har kone mein
aa baiThe bazar se chehre
arsa hua hai nahin dekhe hain
hum ne surKH anar se chehre
wadi ke sanduq se nikle
chamkile dinar se chehre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.