nikle log safar par shab ke jangal mein
nikle log safar par shab ke jañgal meñ
raushnī bhar de kirnoñ vaale pal pal meñ
o bādal kab pyaas bujhāne aa.egā
vaqt guzartā jaa.e terī kal kal meñ
chīḳheñ aisī phuuT rahī haiñ bastī se
jaise koī Duub rahā ho daldal meñ
kaun sukūñ de bhīgī rut ke panchhī ko
añgāroñ kā Dher lagā hai jal-thal meñ
ḳhāmoshī se chhup-chhup 'tāriq' pyaar karo
jiinā ho jab tūfānoñ kī halchal meñ
nikle log safar par shab ke jangal mein
raushni bhar de kirnon wale pal pal mein
o baadal kab pyas bujhane aaega
waqt guzarta jae teri kal kal mein
chiKHen aisi phuT rahi hain basti se
jaise koi Dub raha ho daldal mein
kaun sukun de bhigi rut ke panchhi ko
angaron ka Dher laga hai jal-thal mein
KHamoshi se chhup-chhup 'tariq' pyar karo
jina ho jab tufanon ki halchal mein
- Book : Khayaabaan (Pg. 148)
- Author : Hassan Abbas Raza
- Publication : Bazm-e-Khayaabaan-e-adab, Pakistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.