niklega sada zabt se tashhir ka pahlu
niklegā sadā zabt se tash.hīr kā pahlū
hai raat ke pahlū hī meñ tanvīr kā pahlū
lahje ko zarā dekh mire dost ki varna
niklegā tirī baat se shamshīr kā pahlū
badnām hue ishq ke maidān meñ saare
dāġhoñ se na bach paayā jahāñgīr kā pahlū
qur.ān kā har lafz-o-bayāñ nudrat-e-kāmil
laa.ī hai ḳhirad DhūñD ke tafsīr kā pahlū
duniyā hai ruḳh-e-yār kā bātin bhī zarā dekh
zāhir meñ bahut ḳhuub hai tasvīr kā pahlū
jab gher liyā gardish-e-ayyām ne 'tābish'
niklā mire kirdār se taqsīr kā pahlū
niklega sada zabt se tashhir ka pahlu
hai raat ke pahlu hi mein tanwir ka pahlu
lahje ko zara dekh mere dost ki warna
niklega teri baat se shamshir ka pahlu
badnam hue ishq ke maidan mein sare
daghon se na bach paya jahangir ka pahlu
quran ka har lafz-o-bayan nudrat-e-kaamil
lai hai KHirad DhunD ke tafsir ka pahlu
duniya hai ruKH-e-yar ka baatin bhi zara dekh
zahir mein bahut KHub hai taswir ka pahlu
jab gher liya gardish-e-ayyam ne 'tabish'
nikla mere kirdar se taqsir ka pahlu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.