nikli jo ruh jism se phir hai badan mein kya
niklī jo ruuh jism se phir hai badan meñ kyā
jab sham.a bujh ga.ī to rahā anjuman meñ kyā
vo sher kyā ki dil meñ jo nashtar chubhā na de
ho jis meñ bū na dard kī hai us suḳhan meñ kyā
TeḌhā javāb dete ho tum sīdhī baat kā
yaad ik adā yahī hai tumheñ bāñkpan meñ kyā
hal kar diyā tabassum-e-lab ne ye mas.ala
ab uzr aap ko hai subūt-e-dahan meñ kyā
aa ham dikhā.eñ dāġh-e-jigar kī tujhe bahār
ai andalīb sair hai tere chaman meñ kyā
kyoñ chūmte haiñ is ko nakīrain baar baar
naam us kā hai likhā huā mere kafan meñ kyā
sau ahd us ne toḌe magar phir yaqīn hai
hai mo.ajiza yahī lab-e-paimāñ-shikan meñ kyā
ai ahl-e-aql is kā mazā yuuñ na aa.egā
dīvāna ban ke dekho hai dīvāna-pan meñ kyā
jo naafā hai vo kākul-e-mushkīñ kī hai girah
sad-rang kyā hai aur hai rang-e-saman meñ kyā
tum māl-dār ho na hunar-var na bā-kamāl
'akbar' tumhārī qadr ho mulk-e-dakan meñ kyā
nikli jo ruh jism se phir hai badan mein kya
jab shama bujh gai to raha anjuman mein kya
wo sher kya ki dil mein jo nashtar chubha na de
ho jis mein bu na dard ki hai us suKHan mein kya
TeDha jawab dete ho tum sidhi baat ka
yaad ek ada yahi hai tumhein bankpan mein kya
hal kar diya tabassum-e-lab ne ye masala
ab uzr aap ko hai subut-e-dahan mein kya
aa hum dikhaen dagh-e-jigar ki tujhe bahaar
ai andalib sair hai tere chaman mein kya
kyon chumte hain is ko nakirain bar bar
nam us ka hai likha hua mere kafan mein kya
sau ahd us ne toDe magar phir yaqin hai
hai moajiza yahi lab-e-paiman-shikan mein kya
ai ahl-e-aql is ka maza yun na aaega
diwana ban ke dekho hai diwana-pan mein kya
jo nafa hai wo kakul-e-mushkin ki hai girah
sad-rang kya hai aur hai rang-e-saman mein kya
tum mal-dar ho na hunar-war na ba-kamal
'akbar' tumhaari qadr ho mulk-e-dakan mein kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.