niklunga ek jast mein ghere se KHair chhoD
niklūñgā ek jast meñ ghere se ḳhair chhoḌ
duniyā meñ aa.e haiñ ka.ī tere se ḳhair chhoḌ
ab raat se lagāv mujhe hai bahut hī ḳhaas
lagtī thī pahle chashm savere se ḳhair chhoḌ
ik shaḳhs kyā milā mirī duniyā badal ga.ī
niklā ġham-e-hayāt ke phere se ḳhair chhoḌ
kamre meñ tere dam se daraḳhshāñ thī har ḳhushī
ab haiñ yahāñ pe ranj ghanere se ḳhair chhoḌ
mumkin thā āstīñ se nikal aate mere dost
maiñ biin gar na letā sapere se ḳhair chhoḌ
tajdīd-e-rasm-o-rāh se kis ko thā iḳhtilāf
kis ne uḌaa.ī kaag banere se ḳhair chhoḌ
'alvī' malang huuñ maiñ so harf-e-duā ke baa'd
milnā kisī ko kyā mire Dere se ḳhair chhoḌ
niklunga ek jast mein ghere se KHair chhoD
duniya mein aae hain kai tere se KHair chhoD
ab raat se lagaw mujhe hai bahut hi KHas
lagti thi pahle chashm sawere se KHair chhoD
ek shaKHs kya mila meri duniya badal gai
nikla gham-e-hayat ke phere se KHair chhoD
kamre mein tere dam se daraKHshan thi har KHushi
ab hain yahan pe ranj ghanere se KHair chhoD
mumkin tha aastin se nikal aate mere dost
main bin gar na leta sapere se KHair chhoD
tajdid-e-rasm-o-rah se kis ko tha iKHtilaf
kis ne uDai kag banere se KHair chhoD
'alwi' malang hun main so harf-e-dua ke ba'd
milna kisi ko kya mere Dere se KHair chhoD
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.