nirale nirale se KHwabon ka mausam
nirāle nirāle se ḳhvāboñ kā mausam
javānī kā aalam sarāboñ kā mausam
gulābī gulābī sahāboñ kā mausam
nahīñ rahtā har dam gulāboñ kā mausam
masarrat kī ghaḌiyāñ nahīñ Tik sakīñ jab
badal kar rahegā azāboñ kā mausam
azīzo ye ḳhār-e-gulistāñ haiñ shāhid
zarūr aa.egā phir gulāboñ kā mausam
faqat mausamī hai ye josh-e-javānī
ki bārish meñ jaise habāboñ kā mausam
ġhazab Dhā rahā hai ye shauq-e-numā.ish
qayāmat hai ye be-hijāboñ kā mausam
guzar jaa.eñ din kaash hañste hañsāte
kise raas aayā itāboñ kā mausam
kamā lījiye chāhe jitnī bhalā.ī
buḌhāpā hai 'nāmī' savāboñ kā mausam
nirale nirale se KHwabon ka mausam
jawani ka aalam sarabon ka mausam
gulabi gulabi sahabon ka mausam
nahin rahta har dam gulabon ka mausam
masarrat ki ghaDiyan nahin Tik sakin jab
badal kar rahega azabon ka mausam
azizo ye KHar-e-gulistan hain shahid
zarur aaega phir gulabon ka mausam
faqat mausami hai ye josh-e-jawani
ki barish mein jaise hababon ka mausam
ghazab Dha raha hai ye shauq-e-numaish
qayamat hai ye be-hijabon ka mausam
guzar jaen din kash hanste hansate
kise ras aaya itabon ka mausam
kama lijiye chahe jitni bhalai
buDhapa hai 'nami' sawabon ka mausam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.