nisar dil bhi kiya aur har KHushi de di
nisār dil bhī kiyā aur har ḳhushī de dī
lo aaj ham ne tumheñ apnī zindagī de dī
ye kyā kiyā ki nazar se nazar milī bhī na thī
qarār luuT liyā dil ko be-kalī de dī
hamāre husn-e-taḳhyyul ka ehtirām karo
tumhāre azm ke phūloñ ko tāzgī de dī
jalā ke dil ke nasheman ko apne hāthoñ se
tumhāre shauq ke jazboñ ko raushnī de dī
ye soch kar ki guzar jā.eñge ye din apne
ġhamoñ ko baañT liyā apnī har ḳhushī de dī
'bahār' luuT liyā kis ne qāfila dil ka
ye kis ne zulm ke hāthoñ meñ rahbarī de dī
nisar dil bhi kiya aur har KHushi de di
lo aaj hum ne tumhein apni zindagi de di
ye kya kiya ki nazar se nazar mili bhi na thi
qarar luT liya dil ko be-kali de di
hamare husn-e-taKHyyul ka ehtiram karo
tumhaare azm ke phulon ko tazgi de di
jala ke dil ke nasheman ko apne hathon se
tumhaare shauq ke jazbon ko raushni de di
ye soch kar ki guzar jaenge ye din apne
ghamon ko banT liya apni har KHushi de di
'bahaar' luT liya kis ne qafila dil ka
ye kis ne zulm ke hathon mein rahbari de di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.