nisf khuli aankhon se dekha sab mubham mubham lage
nisf khuli aankhon se dekha sab mubham mubham lage
Hema Kandpal Hiya
MORE BYHema Kandpal Hiya
nisf khulī āñkhoñ se dekhā sab mub.ham mub.ham laage
dahshat oḌhī dhartī ko ab aahū bhī zaiġham laage
gaam rakhūñ kis ke sar par ab pūchhe mujh se ik vāman
ik pag meñ jag naap liyā phir sar merā bhī kam laage
bhīgī āñkheñ dekh mirī vo hans kar mujh se kahtā thā
gul-rū tere chehre par to aañsū bhī shabnam laage
sundar-van se aa.ī titlī baiThī āñkhoñ meñ amdan
niilā niilā ambar bhī ab mujh ko to nīlam laage
dard likhūñ jis bhī patthar par us se jharne jharte haiñ
bol piyā phir tujh ko hī kyoñ ġham merā ye kam laage
nisf khuli aankhon se dekha sab mubham mubham lage
dahshat oDhi dharti ko ab aahu bhi zaigham lage
gam rakhun kis ke sar par ab puchhe mujh se ek waman
ek pag mein jag nap liya phir sar mera bhi kam lage
bhigi aankhen dekh meri wo hans kar mujh se kahta tha
gul-ru tere chehre par to aansu bhi shabnam lage
sundar-wan se aai titli baiThi aankhon mein amdan
nila nila ambar bhi ab mujh ko to nilam lage
dard likhun jis bhi patthar par us se jharne jharte hain
bol piya phir tujh ko hi kyon gham mera ye kam lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.