nishan dekh mere jism ke bata mujhko
nishān dekh mire jism ke batā mujh ko
kahāñ kahāñ se tire hijr ne chhuā mujh ko
maiñ aise chaak se aur ḳhaak se nahīñ huuñ ḳhush
na.e sire se mire kūza-gar banā mujh ko
maiñ apne saath huuñ āsūda rahne vaalā shaḳhs
tujhe maiñ kahtā nahīñ thā ki chhoḌ jā mujh ko
ye hijrateñ to mirā mas.ala na thā 'fāḳhir'
magar vo shaḳhs bahut duur le gayā mujh ko
nishan dekh mere jism ke bata mujh ko
kahan kahan se tere hijr ne chhua mujh ko
main aise chaak se aur KHak se nahin hun KHush
nae sire se mere kuza-gar bana mujh ko
main apne sath hun aasuda rahne wala shaKHs
tujhe main kahta nahin tha ki chhoD ja mujh ko
ye hijraten to mera masala na tha 'faKHir'
magar wo shaKHs bahut dur le gaya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.