nishan-e-subh-gah-e-jawedan koi nahin hai
nishān-e-sub.h-gah-e-jāvedāñ koī nahīñ hai
charāġh-e-dīda-e-shab-zād-gāñ koī nahīñ hai
ḳharāb-e-hasrat-e-umr-e-masīh-e-ālam huuñ
ḳhushā mudāvā-e-zaḳhm-e-gumāñ koī nahīñ hai
sarāpā zaḳhm-e-ḳhadang-e-nigāh-e-fardā huuñ
maqām-e-dil sar-e-maujūdagāñ koī nahīñ hai
na bāñdh misra-e-tamhīd-e-kulfat-e-hastī
yahāñ pe koh-e-tamannā ba-jāñ koī nahīñ hai
ġhubār-e-jāda-e-tanhā dayār-e-sar-gardāñ
ki be-rihā.ish-o-be-ḳhānumāñ koī nahīñ hai
pas-e-vafā-e-taġhāful-sifat ba-zom-e-vafā
ba-juz yaqīn-e-qarīb-e-gumāñ koī nahīñ hai
to phir ye parda-e-taḳhlīq chashm-e-hairat hai
agar ba-farz-e-girāñ āsmāñ koī nahīñ hai
charāġh-e-matla-e-ummīd-gāh raushan hai
agarche jalva-figan tā-karāñ koī nahīñ hai
maqām-e-fikr-o-amal hai ki be-niyāzī-e-shauq
ki dil meñ ḳhadsha-e-sūd-o-ziyāñ koī nahīñ hai
ba-tama-dārī-e-ganj-e-ma.āniyān-e-ajab
shumār-e-hasrat-e-ganj-e-ravāñ koī nahīñ hai
tamāsha-bīn tamāshā-e-ḳhud-farebī haiñ
navā-e-naġhma-o-nāra-zanāñ koī nahīñ hai
ḳhumār-e-bāda-e-kuhna-navāz-e-kam-nazarī
farāġh-e-sohbat-e-fahmīdagāñ koī nahīñ hai
sitam-rasīda-e-shab-hā-e-intizār-e-sahar
fuġhāñ ki muntazir-e-nīm-jāñ koī nahīñ hai
fasurdagī ko guzargāh-e-nau-bahārī se
ilāqa-e-havas-e-bostāñ koī nahīñ hai
kahāñ sifāt-e-bayān-e-alī kahāñ 'hādis'
magar ba-hasb-e-suḳhan qadr-dāñ koī nahīñ hai
nishan-e-subh-gah-e-jawedan koi nahin hai
charagh-e-dida-e-shab-zad-gan koi nahin hai
KHarab-e-hasrat-e-umr-e-masih-e-alam hun
KHusha mudawa-e-zaKHm-e-guman koi nahin hai
sarapa zaKHm-e-KHadang-e-nigah-e-farda hun
maqam-e-dil sar-e-maujudagan koi nahin hai
na bandh misra-e-tamhid-e-kulfat-e-hasti
yahan pe koh-e-tamanna ba-jaan koi nahin hai
ghubar-e-jada-e-tanha dayar-e-sar-gardan
ki be-rihaish-o-be-KHanuman koi nahin hai
pas-e-wafa-e-taghaful-sifat ba-zom-e-wafa
ba-juz yaqin-e-qarib-e-guman koi nahin hai
to phir ye parda-e-taKHliq chashm-e-hairat hai
agar ba-farz-e-giran aasman koi nahin hai
charagh-e-matla-e-ummid-gah raushan hai
agarche jalwa-figan ta-karan koi nahin hai
maqam-e-fikr-o-amal hai ki be-niyazi-e-shauq
ki dil mein KHadsha-e-sud-o-ziyan koi nahin hai
ba-tama-dari-e-ganj-e-maaniyan-e-ajab
shumar-e-hasrat-e-ganj-e-rawan koi nahin hai
tamasha-bin tamasha-e-KHud-farebi hain
nawa-e-naghma-o-nara-zanan koi nahin hai
KHumar-e-baada-e-kuhna-nawaz-e-kam-nazari
faragh-e-sohbat-e-fahmidagan koi nahin hai
sitam-rasida-e-shab-ha-e-intizar-e-sahar
fughan ki muntazir-e-nim-jaan koi nahin hai
fasurdagi ko guzargah-e-nau-bahaari se
ilaqa-e-hawas-e-bostan koi nahin hai
kahan sifat-e-bayan-e-ali kahan 'hadis'
magar ba-hasb-e-suKHan qadr-dan koi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.