nishtaron par jism sara rakh diya
nishtaroñ par jism saarā rakh diyā
zaḳhm par lafzoñ kā phāhā rakh diyā
raat kī bhīgī huī dīvār par
maiñ ne ik raushan sitāra rakh diyā
raat tum ne raushnī ke khel meñ
kyuuñ mire saa.e pe saaya rakh diyā
maiñ ne vo patvār bhī lauTā diye
biich dariyā ke kinārā rakh diyā
phuul the in meñ magar ḳhushbū na thī
lafz ko sūñghā uThāyā rakh diyā
dushmanī achchhī nikālī vaqt ne
bojh in kāñdhoñ pe kaisā rakh diyā
sab tamāshā khel saarā us kā thā
naam nāhaq hī hamārā rakh diyā
nishtaron par jism sara rakh diya
zaKHm par lafzon ka phaha rakh diya
raat ki bhigi hui diwar par
main ne ek raushan sitara rakh diya
raat tum ne raushni ke khel mein
kyun mere sae pe saya rakh diya
main ne wo patwar bhi lauTa diye
bich dariya ke kinara rakh diya
phul the in mein magar KHushbu na thi
lafz ko sungha uThaya rakh diya
dushmani achchhi nikali waqt ne
bojh in kandhon pe kaisa rakh diya
sab tamasha khel sara us ka tha
nam nahaq hi hamara rakh diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.