nit-nae rang ke naghmat se ji Darta hai
nit-nae rang ke naghmat se ji Darta hai
Syed Abbas Raza Tanweer
MORE BYSyed Abbas Raza Tanweer
nit-na.e rang ke naġhmāt se jī Dartā hai
ab to is shahr-e-ḳharābāt se jī Dartā hai
niiñd kā lutf na bedārī-e-shab kī lazzat
zehn meñ jāgte ḳhadshāt se jī Dartā hai
shab kī peshānī pe likkhī huī tahrīr kabhī
dekh lete haiñ to har baat se jī Dartā hai
ḳhāmushī mahv-e-tamāshā-e-ḳhirad hai lekin
is meñ poshīda savālāt se jī Dartā hai
jin pe māmūr kiye jaane lage ādam-ḳhor
aise ḳhūñ-rez maqāmāt se jī Dartā hai
jin se tashkīl huī zulmat-e-nau kī tanvīr
un siyah-kārī-e-hālāt se jī Dartā hai
nit-nae rang ke naghmat se ji Darta hai
ab to is shahr-e-KHarabaat se ji Darta hai
nind ka lutf na bedari-e-shab ki lazzat
zehn mein jagte KHadshat se ji Darta hai
shab ki peshani pe likkhi hui tahrir kabhi
dekh lete hain to har baat se ji Darta hai
KHamushi mahw-e-tamasha-e-KHirad hai lekin
is mein poshida sawalat se ji Darta hai
jin pe mamur kiye jaane lage aadam-KHor
aise KHun-rez maqamat se ji Darta hai
jin se tashkil hui zulmat-e-nau ki tanwir
un siyah-kari-e-haalat se ji Darta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.