niyaz-e-ishq ka namus luTwana bhi aata hai
niyāz-e-ishq kā nāmūs luTvānā bhī aatā hai
jo ibn-ul-vaqt haiñ un ko badal jaanā bhī aatā hai
jo kī hai dostī sūraj se to mohtāt bhī rahiye
mulā.em dhuup ko gulzār jhulsānā bhī aatā hai
zarā sī Thes par maanā bikhar jaate haiñ ham lekin
hameñ rezoñ ko chun chun kar sañvar jaanā bhī aatā hai
sar-e-taslīm ḳham rakhte haiñ ye tahzīb hai apnī
agar farmān bejā ho to Thukrānā bhī aatā hai
bayābānoñ kuhistānoñ meñ bhaTke laakh ye lekin
dil-e-nāshād ko ghar lauT ke aanā bhī aatā hai
niyaz-e-ishq ka namus luTwana bhi aata hai
jo ibn-ul-waqt hain un ko badal jaana bhi aata hai
jo ki hai dosti suraj se to mohtat bhi rahiye
mulaem dhup ko gulzar jhulsana bhi aata hai
zara si Thes par mana bikhar jate hain hum lekin
hamein rezon ko chun chun kar sanwar jaana bhi aata hai
sar-e-taslim KHam rakhte hain ye tahzib hai apni
agar farman beja ho to Thukrana bhi aata hai
bayabanon kuhistanon mein bhaTke lakh ye lekin
dil-e-nashad ko ghar lauT ke aana bhi aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.