niyaz-o-naz ke jhagDon se mawara hun main
niyāz-o-nāz ke jhagḌoñ se māvarā huuñ maiñ
na mudda.ī huuñ kisī kā na mudda.ā huuñ maiñ
fuġhān-e-be-asar-o-āh-e-nā-rasā huuñ maiñ
jahān-e-ishq kī bigḌī huī havā huuñ maiñ
kisī se kar ke vafā nādim-e-vafā huuñ maiñ
ab aap apnī nigāhoñ se chhup rahā huuñ maiñ
ba-faiz-e-azm ba-zauq-e-talab ba-nām-e-ḳhudā
ḳhud aap apne safīne kā nāḳhudā huuñ maiñ
savāl-e-dīd to merā ye ehtirāman hai
kisī ke varna hijāboñ meñ ḳhud chhupā huuñ maiñ
ye zo.am-e-nāz ye nāz-e-ḳhudī ma.āz-allāh
tumhārā bas ho to kahne lago ḳhudā huuñ maiñ
dhaḌakte dil se yuuñ taktā huuñ har sitāre ko
kahā ho jaise kisī ne ki aa rahā huuñ maiñ
falak se kah do ki roke na gardisheñ apnī
ba-ḳhair huuñ zarā karvaT badal rahā huuñ maiñ
'shifā' ye rāz-e-mohabbat hai koī kyā jaane
vo mujh meñ chhup ga.e yā un meñ chhup gayā huuñ maiñ
niyaz-o-naz ke jhagDon se mawara hun main
na muddai hun kisi ka na muddaa hun main
fughan-e-be-asar-o-ah-e-na-rasa hun main
jahan-e-ishq ki bigDi hui hawa hun main
kisi se kar ke wafa nadim-e-wafa hun main
ab aap apni nigahon se chhup raha hun main
ba-faiz-e-azm ba-zauq-e-talab ba-nam-e-KHuda
KHud aap apne safine ka naKHuda hun main
sawal-e-did to mera ye ehtiraman hai
kisi ke warna hijabon mein KHud chhupa hun main
ye zoam-e-naz ye naz-e-KHudi maaz-allah
tumhaara bas ho to kahne lago KHuda hun main
dhaDakte dil se yun takta hun har sitare ko
kaha ho jaise kisi ne ki aa raha hun main
falak se kah do ki roke na gardishen apni
ba-KHair hun zara karwaT badal raha hun main
'shifa' ye raaz-e-mohabbat hai koi kya jaane
wo mujh mein chhup gae ya un mein chhup gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.