niyyat ho agar nek to deta hai KHuda bhi
niyyat ho agar nek to detā hai ḳhudā bhī
karte haiñ amal log to miltā hai sila bhī
bātin kī harārat se phuñke jaate haiñ tan-man
purvā.ī bhī chaltī hai barastī hai ghaTā bhī
chhū kar nahīñ guzrī hai tirī zulf-e-muattar
is baar to mahrūm chalī aa.ī sabā bhī
ik tum ho ki bichhḌe to bichhaḌ hī ga.e ham se
milte haiñ bahut log to hote haiñ judā bhī
ādāb-e-mohabbat the ki dāman nahīñ chhoḌā
tum duur na the duur na the band-e-qabā bhī
kis yaas ke aalam meñ hoñ kyā jāniye 'at.har'
muddat huī aa.ī nahīñ hoñToñ pe duā bhī
niyyat ho agar nek to deta hai KHuda bhi
karte hain amal log to milta hai sila bhi
baatin ki hararat se phunke jate hain tan-man
purwai bhi chalti hai barasti hai ghaTa bhi
chhu kar nahin guzri hai teri zulf-e-muattar
is bar to mahrum chali aai saba bhi
ek tum ho ki bichhDe to bichhaD hi gae hum se
milte hain bahut log to hote hain juda bhi
aadab-e-mohabbat the ki daman nahin chhoDa
tum dur na the dur na the band-e-qaba bhi
kis yas ke aalam mein hon kya jaaniye 'athar'
muddat hui aai nahin honTon pe dua bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.