nizam-e-jahan bhi ajab hai nirala
nizām-e-jahāñ bhī ajab hai nirālā
añdheroñ se Darne lagā hai ujālā
vo fōtpath par apnā fan bechtā thā
sitamgar jahāñ ne ise rauñd Daalā
anā se kahāñ kis ko muktī milī hai
hai mazbūt kitnā ye makḌī kā jaalā
yahī vo ġharībī kī galiyāñ haiñ yaaro
jahāñ roz biktā hai izzat kā pyāla
ye firqa-parastī kā manhūs bandar
'asar' toḌ Dālegā millat kī maalā
nizam-e-jahan bhi ajab hai nirala
andheron se Darne laga hai ujala
wo footpath par apna fan bechta tha
sitamgar jahan ne ise raund Dala
ana se kahan kis ko mukti mili hai
hai mazbut kitna ye makDi ka jala
yahi wo gharibi ki galiyan hain yaro
jahan roz bikta hai izzat ka pyala
ye firqa-parasti ka manhus bandar
'asar' toD Dalega millat ki mala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.