nizam-e-zar ka ye behuda jal tha hi nahin
nizām-e-zar kā ye behūda jaal thā hī nahīñ
hamārī poTlī meñ aisā maal thā hī nahīñ
hazār sūrateñ dekhī thiiñ ek sūrat meñ
ġham-e-zamāna hamārā vabāl thā hī nahīñ
chale hī chalte the ik raushnī kī rau meñ kahīñ
safar-navardī kuchh aisā kamāl thā hī nahīñ
baras rahā thā makānoñ pe abr zoroñ kā
magar ye dil ki sire se nihāl thā hī nahīñ
shabeñ yūñhī kisī ḳhāl-e-dahan meñ kāTte the
junūn karne kā koī ḳhayāl thā hī nahīñ
magar zamāna rag-o-pai meñ se guzartā hai
ki ab kī baar vo apnī misāl thā hī nahīñ
nizam-e-zar ka ye behuda jal tha hi nahin
hamari poTli mein aisa mal tha hi nahin
hazar suraten dekhi thin ek surat mein
gham-e-zamana hamara wabaal tha hi nahin
chale hi chalte the ek raushni ki rau mein kahin
safar-nawardi kuchh aisa kamal tha hi nahin
baras raha tha makanon pe abr zoron ka
magar ye dil ki sire se nihaal tha hi nahin
shaben yunhi kisi KHal-e-dahan mein kaTte the
junun karne ka koi KHayal tha hi nahin
magar zamana rag-o-pai mein se guzarta hai
ki ab ki bar wo apni misal tha hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.