nochti hain mujhe karb ki chyunTiyan
nochtī haiñ mujhe karb kī chyūñTiyāñ
sāqiyā sāqiyā talḳhiyāñ talḳhiyāñ
maiñ kahāñ aa gayā har taraf hai yahāñ
bad-gumāñ sā.atoñ kā bhayānak dhuāñ
haiñ ye anfās yā hai papīhe kī raT
pheñk aa.uuñ samā.at ko jā kar kahāñ
ek lamha azal ek lamha abad
sirf do sā.atoñ kī hai ye dāstāñ
maiñ vo īzā-kash-e-fikr huuñ aaj tak
jo uḌātā rahā apnī hī dhajjiyāñ
sab dalīleñ haiñ makkār chehre paḌho
jin pe hone kī jhunjhlāhaTeñ haiñ ayaañ
mil ga.ī mujh ko ThanDī nadāmat shikast
kaash mil jaa.e ab manzil-e-rā.egāñ
jism kī ūñchī dīvār aa phāñd kar
kuchh to kāmil kareñ qissa-e-ḳhūñ-chakāñ
jab bhī chāhā koī nazm us par likhūñ
ḳhud-ba-ḳhud thartharāne lagīñ ungliyāñ
ab hai ye haal tanhā.ī ḳhud chīḳhe hai
al-hafīz al-hafīz al-amāñ al-amāñ
maiñ samundar se apne taqābul meñ gum
chand bachche the chunte rahe sīpiyāñ
shādī 'hamdūn' hai qurbatoñ kī jazā
har qadam hādse har nafas imtihāñ
nochti hain mujhe karb ki chyunTiyan
saqiya saqiya talKHiyan talKHiyan
main kahan aa gaya har taraf hai yahan
bad-guman saaton ka bhayanak dhuan
hain ye anfas ya hai papihe ki raT
phenk aaun samaat ko ja kar kahan
ek lamha azal ek lamha abad
sirf do saaton ki hai ye dastan
main wo iza-kash-e-fikr hun aaj tak
jo uData raha apni hi dhajjiyan
sab dalilen hain makkar chehre paDho
jin pe hone ki jhunjhlahaTen hain ayan
mil gai mujh ko ThanDi nadamat shikast
kash mil jae ab manzil-e-raegan
jism ki unchi diwar aa phand kar
kuchh to kaamil karen qissa-e-KHun-chakan
jab bhi chaha koi nazm us par likhun
KHud-ba-KHud thartharane lagin ungliyan
ab hai ye haal tanhai KHud chiKHe hai
al-hafiz al-hafiz al-aman al-aman
main samundar se apne taqabul mein gum
chand bachche the chunte rahe sipiyan
shadi 'hamdun' hai qurbaton ki jaza
har qadam hadse har nafas imtihan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.