nok-e-qalam ko jurat-e-izhaar de gaya
nok-e-qalam ko jur.at-e-iz.hār de gayā
ye kaun mere haath meñ talvār de gayā
dohrā rahī hai aaj bhī tārīḳh vāqi.āt
yā phir koī paḌhā huā aḳhbār de gayā
maiñ jaañ nisār kar ke fazīlat-ma.āb huuñ
vo sar utaar kar mujhe dastār de gayā
ye aable ye zaḳhm sab us ke hī faiz haiñ
māñge baġhair dirham-o-dīnār de gayā
nok-e-qalam ko jurat-e-izhaar de gaya
ye kaun mere hath mein talwar de gaya
dohra rahi hai aaj bhi tariKH waqiat
ya phir koi paDha hua aKHbar de gaya
main jaan nisar kar ke fazilat-maab hun
wo sar utar kar mujhe dastar de gaya
ye aable ye zaKHm sab us ke hi faiz hain
mange baghair dirham-o-dinar de gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.