nok-e-shamshir ki ghat ka silsila yun pas-e-aina kal utara gaya
nok-e-shamshir ki ghat ka silsila yun pas-e-aina kal utara gaya
Suraj Narayan
MORE BYSuraj Narayan
nok-e-shamshīr kī ghaat kā silsila yuuñ pas-e-ā.ina kal utārā gayā
merī pahchān ke aks jitne bane koī zaḳhmī huā koī maarā gayā
ġhair-mahsūs rastoñ se aatī rahī ik sadā vāpsī kī mire kaan meñ
goyā gūñge ishāroñ kī dahlīz par mujh ko āñkhoñ se us din pukārā gayā
ye na pūchhe koī mausam-e-rañg kī pahlī pahlī adāvat ne kyā dukh diye
phuul kī aag par shab guzārī ga.ī ḳhaar kī nok par din guzārā gayā
aaj us ke lahū kī har ik buuñd ke zard hone pe ḳhushiyāñ manā.ī ga.iiñ
kuchh dinoñ pahle jis rahnumā ke liye chāñd tāroñ se rasta sañvārā gayā
aap pī pī ke lamhoñ kī sab bārisheñ zindagī ke makāñ par barastī rahīñ
is liye to pighal kar mire jism kī saarī miTTī ga.ī saarā gaarā gayā
vo jo ūñche mahal the mire sāmne ġhaur se un ko dekhā to mujh par khulā
kin manāroñ se chāñdī churā.ī ga.ī kin manāroñ se sonā utārā gayā
nok-e-shamshir ki ghat ka silsila yun pas-e-aina kal utara gaya
meri pahchan ke aks jitne bane koi zaKHmi hua koi mara gaya
ghair-mahsus raston se aati rahi ek sada wapsi ki mere kan mein
goya gunge ishaaron ki dahliz par mujh ko aankhon se us din pukara gaya
ye na puchhe koi mausam-e-rang ki pahli pahli adawat ne kya dukh diye
phul ki aag par shab guzari gai KHar ki nok par din guzara gaya
aaj us ke lahu ki har ek bund ke zard hone pe KHushiyan manai gain
kuchh dinon pahle jis rahnuma ke liye chand taron se rasta sanwara gaya
aap pi pi ke lamhon ki sab barishen zindagi ke makan par barasti rahin
is liye to pighal kar mere jism ki sari miTTi gai sara gara gaya
wo jo unche mahal the mere samne ghaur se un ko dekha to mujh par khula
kin manaron se chandi churai gai kin manaron se sona utara gaya
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 601)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.