numu ke irfan se be-KHabar hun
numū ke irfāñ se be-ḳhabar huuñ
ki lāla-e-dasht-e-be-shajar huuñ
ye zard phūloñ ke kunj dekho
yahāñ bhī aao ki maiñ idhar huuñ
vo phuul hai shāḳh par rahegā
maiñ us kī ḳhushbū huuñ dar-ba-dar huuñ
vo zindagī kī sazā kā lamha
us ek lamhe kā maiñ samar huuñ
mujhe uThāne kā haq hai kis ko
ki apnī turbat pe nauhagar huuñ
vo kaj-kulāhoñ kī bastiyāñ haiñ
vahāñ na le chal maiñ nañge sar huuñ
numu ke irfan se be-KHabar hun
ki lala-e-dasht-e-be-shajar hun
ye zard phulon ke kunj dekho
yahan bhi aao ki main idhar hun
wo phul hai shaKH par rahega
main us ki KHushbu hun dar-ba-dar hun
wo zindagi ki saza ka lamha
us ek lamhe ka main samar hun
mujhe uThane ka haq hai kis ko
ki apni turbat pe nauhagar hun
wo kaj-kulahon ki bastiyan hain
wahan na le chal main nange sar hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.