Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

numu ki KHak se uTThega phir lahu mera

Asif Saqib

numu ki KHak se uTThega phir lahu mera

Asif Saqib

MORE BYAsif Saqib

    numū ḳhaak se uTThegā phir lahū merā

    aqab se vaar kare chāhe jañg-jū merā

    lakīr khīñch ke mujh pe vo phir mujhe dekhe

    nigār-o-naqsh meñ chehra hai hū-ba-hū merā

    raqīb-e-tishna bhar ke ḳhaak chāTegā

    chaTaḳh ke TuuT gayā haath meñ subū merā

    maiñ apnī ruuh tārīkiyoñ meñ jhāñk chukā

    nikal sakā na kamīñ-gāh se adū merā

    ye ruup apne masīhā dekh kar 'sāqib'

    aTak ke rah gayā saañs dar-gulū merā

    numu ki KHak se uTThega phir lahu mera

    aqab se war kare chahe jang-ju mera

    lakir khinch ke mujh pe wo phir mujhe dekhe

    nigar-o-naqsh mein chehra hai hu-ba-hu mera

    raqib-e-tishna tu ji bhar ke KHak chaTega

    chaTaKH ke TuT gaya hath mein subu mera

    main apni ruh ki tarikiyon mein jhank chuka

    nikal saka na kamin-gah se adu mera

    ye rup apne masiha ka dekh kar 'saqib'

    aTak ke rah hi gaya sans dar-gulu mera

    Source :
    • Book : Khayaabaan (Pg. 133)
    • Author : Hassan Abbas Raza
    • Publication : Bazm-e-Khayaabaan-e-adab, Pakistan
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now