numu-pazir hai ek dasht-e-be-numu mujh mein
numū-pazīr hai ik dasht-e-be-numū mujh meñ
zuhūr karne ko hai phir shahr-e-ārzū mujh meñ
ye zaḳhm vo hai ki jis ko dikhānā mushkil hai
Tapak rahā hai musalsal mirā lahū mujh meñ
ragoñ meñ chaap sī koī sunā.ī detī hai
ye kaun hai ki jo phirtā hai kū-ba-kū mujh meñ
maiñ apne lahje se har lamha ḳhauf khātā huuñ
chhupā huā hai koī shaḳhs tund-ḳhū mujh meñ
numu-pazir hai ek dasht-e-be-numu mujh mein
zuhur karne ko hai phir shahr-e-arzu mujh mein
ye zaKHm wo hai ki jis ko dikhana mushkil hai
Tapak raha hai musalsal mera lahu mujh mein
ragon mein chap si koi sunai deti hai
ye kaun hai ki jo phirta hai ku-ba-ku mujh mein
main apne lahje se har lamha KHauf khata hun
chhupa hua hai koi shaKHs tund-KHu mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.