numud-e-sham jo tira-shabi bhi deti hai
numūd-e-shām jo tīra-shabī bhī detī hai
ba-iḳhtitām-e-safar raushnī bhī detī hai
ye baat ahl-e-ḳhirad kī samajh meñ aa na sakī
junūñ kī be-ḳhabarī āgahī bhī detī hai
bahut hī ḳhuub hai yaaro ḳhulūs-e-dil-dārāñ
ajiib azm magar bekasī bhī detī hai
sukūt-e-sāz meñ āhañg-e-dard-e-dil muzmar
sadā-e-karb kabhī ḳhāmushī bhī detī hai
nishān-e-jāda-e-manzil ba-rah-ravān-e-vafā
shab-e-siyāh meñ ḳhud tīrgī bhī detī hai
vo ek sā.ad-e-sīmīñ vo ek māh-jabīñ
sukūn-e-qalb ko āshuftagī bhī detī hai
ye kah rahī thī nasīm-e-sahar kanār-e-furāt
zamīn-e-qatl-e-vafā zindagī bhī detī hai
numud-e-sham jo tira-shabi bhi deti hai
ba-iKHtitam-e-safar raushni bhi deti hai
ye baat ahl-e-KHirad ki samajh mein aa na saki
junun ki be-KHabari aagahi bhi deti hai
bahut hi KHub hai yaro KHulus-e-dil-daran
ajib azm magar bekasi bhi deti hai
sukut-e-saz mein aahang-e-dard-e-dil muzmar
sada-e-karb kabhi KHamushi bhi deti hai
nishan-e-jada-e-manzil ba-rah-rawan-e-wafa
shab-e-siyah mein KHud tirgi bhi deti hai
wo ek saad-e-simin wo ek mah-jabin
sukun-e-qalb ko aashuftagi bhi deti hai
ye kah rahi thi nasim-e-sahar kanar-e-furaat
zamin-e-qatl-e-wafa zindagi bhi deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.