numud-e-subh ki pahli kiran kuchh aur kahti hai
numūd-e-sub.h kī pahlī kiran kuchh aur kahtī hai
magar tārīkī-e-ḳhāk-e-vatan kuchh aur kahtī hai
payām-e-mausam-e-gul bāġhbāñ mere sar-āñkhoñ par
magar vīrānī-e-sehn-e-chaman kuchh aur kahtī hai
vahāñ hai naaz ahl-e-jāh ko qaumī taraqqī par
yahāñ bekāri-e-arbāb-e-fan kuchh aur kahtī hai
na ho māyūs tum hālāt se dair-o-haram vaalo
ki ab tanzīm-e-shaiḳh-o-barhaman kuchh aur kahtī hai
gadā.ī se kahīñ miltī hai āzādī zabānoñ ko
uTho ki ġhairat-e-ahl-e-suḳhan kuchh aur kahtī hai
kise ham mo'atabar samjheñ kise nā-mo'tabar 'muslim'
sahar kuchh aur kahtī hai kiran kuchh aur kahtī hai
numud-e-subh ki pahli kiran kuchh aur kahti hai
magar tariki-e-KHak-e-watan kuchh aur kahti hai
payam-e-mausam-e-gul baghban mere sar-ankhon par
magar virani-e-sehn-e-chaman kuchh aur kahti hai
wahan hai naz ahl-e-jah ko qaumi taraqqi par
yahan bekari-e-arbab-e-fan kuchh aur kahti hai
na ho mayus tum haalat se dair-o-haram walo
ki ab tanzim-e-shaiKH-o-barhaman kuchh aur kahti hai
gadai se kahin milti hai aazadi zabanon ko
uTho ki ghairat-e-ahl-e-suKHan kuchh aur kahti hai
kise hum mo'atabar samjhen kise na-mo'tabar 'muslim'
sahar kuchh aur kahti hai kiran kuchh aur kahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.