numud-e-subh ki tanwir dil ke pas to hai
numūd-e-sub.h kī tanvīr dil ke paas to hai
kisī ke aane talak zindagī kī aas to hai
tirā vajūd samundar mirā vajūd sarāb
dabī dabī hī sahī is meñ terī pyaas to hai
ab is meñ hoñ na hoñ raushan tirī atā ke charāġh
mirī duā kā khañDar tere ghar ke paas to hai
tamām ḳhāna-e-hastī ko jagmagā degā
mirā darīcha-e-dil go abhī udaas to hai
numud-e-subh ki tanwir dil ke pas to hai
kisi ke aane talak zindagi ki aas to hai
tera wajud samundar mera wajud sarab
dabi dabi hi sahi is mein teri pyas to hai
ab is mein hon na hon raushan teri ata ke charagh
meri dua ka khanDar tere ghar ke pas to hai
tamam KHana-e-hasti ko jagmaga dega
mera daricha-e-dil go abhi udas to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.