numud-e-tegh hui pa-e-motabar na bacha
numūd-e-teġh huī pā-e-mo'tabar na bachā
vo ran paḌā kisī shāne pe koī sar na bachā
hikāyat-e-ġham-e-duniyā raqam lahū se huī
hamāre zikr pe paanī bhī buuñd bhar na bachā
ragoñ meñ dauḌte rahnā lahū kī fitrat hai
Thahar gayā to koī mauqa’-e-safar na bachā
hazār ḳhvāboñ kī duniyā meñ 'umr guzrī ho
haqīqateñ hoñ muqābil to phir nazar na bachā
bachā na ġhair bhī bargashta-tāla'ī se mirī
maiñ jis ke saa.e meñ baiThā vahī shajar na bachā
har ek raah thī us ke nishān-e-pā meñ zam
kahāñ maiñ jā.ūñ ki jab naqsh-e-rah-guzar na bachā
numud-e-tegh hui pa-e-mo'tabar na bacha
wo ran paDa kisi shane pe koi sar na bacha
hikayat-e-gham-e-duniya raqam lahu se hui
hamare zikr pe pani bhi bund bhar na bacha
ragon mein dauDte rahna lahu ki fitrat hai
Thahar gaya to koi mauqa’-e-safar na bacha
hazar KHwabon ki duniya mein 'umr guzri ho
haqiqaten hon muqabil to phir nazar na bacha
bacha na ghair bhi bargashta-tala'i se meri
main jis ke sae mein baiTha wahi shajar na bacha
har ek rah thi us ke nishan-e-pa mein zam
kahan main jaun ki jab naqsh-e-rah-guzar na bacha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.