nuqrai ujale par surmai andhera hai
nuqra.ī ujāle par surma.ī añdherā hai
ya.anī merī qismat ko gardishoñ ne gherā hai
vaqt ne judā.ī ke zaḳhm bhar diye lekin
zaḳhm kī kahānī bhī vaqt kā hī pherā hai
TūTte bikharte in hausloñ ko samjhāo
uljhanoñ kī shāḳhoñ par lazzatoñ kā Derā hai
aane vaalā sannāTā mastiyāñ uḌā degā
nāgino! sambhal jaao sāmne saperā hai
nuqrai ujale par surmai andhera hai
yani meri qismat ko gardishon ne ghera hai
waqt ne judai ke zaKHm bhar diye lekin
zaKHm ki kahani bhi waqt ka hi phera hai
TuTte bikharte in hauslon ko samjhao
uljhanon ki shaKHon par lazzaton ka Dera hai
aane wala sannaTa mastiyan uDa dega
nagino! sambhal jao samne sapera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.