nuqtoñ meñ kuchh simaT se ga.e fāsle tamām
markaz pe aa ke TuuT ga.e dā.ere tamām
dil kyā bujhā bikhar gayā ḳhvāboñ kā silsila
ye kyā huā ki TuuT ga.e rābte tamām
mausam jo sabz sabz thā āḳhir huā hai zard
ham ne bhī tai kiye haiñ yahī marhale tamām
lauTe guzar ke sarhad-e-hastī se phir kahāñ
dekhe udhar se jaate hue qāfile tamām
ho kar 'shakīl' dīda-e-tar se guzar ga.e
sangīñ the dil-shikan the bahut hādse tamām
nuqton mein kuchh simaT se gae fasle tamam
markaz pe aa ke TuT gae daere tamam
dil kya bujha bikhar gaya KHwabon ka silsila
ye kya hua ki TuT gae rabte tamam
mausam jo sabz sabz tha aaKHir hua hai zard
hum ne bhi tai kiye hain yahi marhale tamam
lauTe guzar ke sarhad-e-hasti se phir kahan
dekhe udhar se jate hue qafile tamam
ho kar 'shakil' dida-e-tar se guzar gae
sangin the dil-shikan the bahut hadse tamam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.